top of page

Sab kuch aur kuch bhi nhi!

Writer's picture: priyashipriyashi

Rehta hun yhin khin, Dikhta magar main nahi. Raste bhi hain or manzil bhi, Jana kahan jab hai zindagi yhin.

Guzarta hai waqt badalta bhi hai, Samjho ise toh ye ho kar bhi nhi hai. Har Shann main basta jaise raag hai, Pal pal mein rehta ehsaas hai.

Waqt nahi ye zindagi hai, Jo rehti yhin, lekin dikhti nhi hai. Na samjha na jana hai, Lekin rishta purana hai.

Aag mein jal kar jo bhasm hua, Vo Ajeev nhi, mujhme aa basaa. Raakh se uth kar svatantra hua, Jeevan mein jeene ka ehsaas tab hua.

Adrishya nhi, har kann mein hun mai, Jaano toh gyaan nahi toh rehsya hun mai. Iss dhuyein ki tarah zinda hun mai, Aur ateet ki tarah shunya hun mai.

5 views0 comments

Recent Posts

See All

Jeevan..

Comments


bottom of page