Raahein..inki bhi alag hi daastan hai..
kahan se janmi, kahan ko hai jaatin
ye khud mein bekhabar par..raahi, raahii ko uske mukaam tak le hi jaatin…
Raahein kuch kehti nhi bus sunti hai
Raahi ki raah takte takte aahein bharti hai
Zindagi toh yun hi ek badhti, badalti, sambhlti, muskurati khamoshi si raah hai..
Na jaane kiske kadamo ne inse kuch kha hai
Aur na jaane kitno ne inhe samjha hai
Par ye muskuraati khamoshi si raah anginat lamhon ko yaadon mein samet..ek nayi dastaan banati hai..
Maano jaise jannat ka darakht prakashit hua ho khin se…
Maano jaise jannat ka darakht prakashit hua ho khin se…
コメント