Kabhi kadamo se udti hui dhuul ko dekha hai,
aisa lagta hai jaise bhoomi apni hi dhun mein magn ho jhoom uthi ho..
waise hi jaise hawaa ke chalte hi pedo ki pattiyan naachte hue nayi soch darsha rhi ho..
jaise baadal garajte hue aakaash apni vaani se prakriti ko raag suna rha ho..
jaise pahad ke peeche se surya ne jhankte hue hariyali ghaas pr baethi gaay ko narmi se chhu liya ho..
jaise nal ki uss aakhri boond se gilheri chauk kar ped pr chadh idhar udhar dekh rhi ho..
jaise khoye hue bacche ko dodte dodte apna ghar door se dikh gya ho..
jaise jalte hue paanv pr behti hui sangam meethe palon ka ehsaas dila rhi ho..
aise hi ye zindagi hai,
jo dheere dheere na jane kitni kahaaniyon ko simetti hui ek nayi kahaani likh rhi ho..
Comments