Tu ghabraye kyu, jab kal tune na dekha.
Tu ladkhdaye kyu, jab raasta yahi hai tera.
Tu khud mein khud ko roke kyu, agar hai tujhe jeena.
Tu utsukta ko baandhe kyu, agar gyaan hai tujhe peena.
Tu mann ki ankhein khole, jab ho sab dhuaa dhuaa.
Tu dil ke raaste khole, jab ho tu dara dara.
Tu chup hai kyu, agar sunn rha apni cheekh ko.
Tu bhram nhi, aaj maan le apne astitva ko.
Kyu mitt rha tera vishwas hai, jab kho ke paana hi teri muraad hai.
Kyu soche ki tu aaj hai khali sa, tu jaanta nhi ye tere jazbaat hai.
Tu samet le ya jee le, yhin tera chayan hai.
Tu maang le ya de le, yhin tera karm hai.
Ho ja tu malang sa, agar ibaadat ho karni.
Ho ja tu shunya sa, jo apni pehchaan ho karni.
Tu ho ja mandir, masjid aur dua.
Tu ho masoom aur jee le mirza.
Taare se janma prakash hai tu, tu ho ja aaj dhyaan zara.
Marhum sa narm hai tu, kisi ke dard par aaj thehar ja..
Tu ho ja prem sa, parbat ko chhu aur srishti sa ban ja.
Tu armaan ban aur kisi ki mannat sa udta chla ja, udta chla ja..
Comments