Na hi paane ka josh
Na hi jeetne ki chaah
Na hi janmo ka dosh
Na hi karmo ki sazaa
Na hi gyaan ki eerchya
Na hi masoom ki shamaa
Na hi ye rang, ye raaz, ye aaj
Na hi vishwaas, na ghaat, na laaj
Na hi ye jeevan, ye sapna, koi apna
Na hi saath, na jazbaat, na dhyaan
Na hi saaya, na Ishwar, na koi chamatkaar
Na hi saanjh, na sehar, na koi armaan
Na dukh ka bhaav, na khushi ki muskaan
Na krodh se moh, na bheyy ka prakop
Na laalach ki maaya, na aheinkaar ki bhaasha
Na shareer ke ang, na hi unke rang
Na khyaalon ki raat, na dil mein ehsaas
Iss chann mein bus ek hi hai baat
Karuna se bhare ashru, aur mann mein basa dhaam…..
Kommentare