Rangon se aankhein abhi bhari nhin
Patte abhi puri tarah khile nhin
Din me dekha hua sapna pura hua nhi
Raat ko neend puri tarah aayi nhi
Bhare kale badalon ne abhi boondein, barasayi nhi
Aur parvat ki choty par raahi abhi, pahuncha nhi
Filhaal samay abhi puri tarah badla nhi
Aur ye thami hui ghadi ko abhi puri tarah jiya nhi
Dhaerya shakti abhi thodi baaki hai
Bhor se surya uday hona baaki hai..
Iss lamhe mein abhi kuch saans baaki hai
Ise Jeene mein thoda jeevan baaki hai..
Comments