top of page

CHALTE-CHALTE

Writer's picture: priyashipriyashi

Chalte chalte main neeche dekhna bhool jata hun, ki aasmaan mein khawaahish ko dhudta reh jaata hun, gir jata hun bhool se par uth kar sambhal bhi jaata hun.

Vhin zindagi muskurati hai, gehre zakhmo pr malhum lagati hai, aur kehti hai waqt se tum rukna nahi yehi toh sache khawab ko paane ki hai tarkeeb.

Isi waqt or zindagi ne mujhe hai sikhaya, zaruri nhi jo socha whi hai paaya, kabhi zada toh kabhi kam hai sabke hisse mein aaya.

Uss khwab ki or main fir se badhta hun, sambhalta kam aur girta zada hun, par aaj zindagi ki khwaahish ko naye pehlu se dekhta hun.

Hosla khud mein aur vishwas raaste pr rakhta hun, sapne pure hon ya na hon magar sachhe dekhta hun, ye aasmaan mera ho na ho lekin iss zameen ko, chalte chalte gir ke, har baar chumta hun.

2 views0 comments

Recent Posts

See All

Jeevan..

댓글


bottom of page